Dost Kaise Banaye
Hamesha yaad rakhe ek angreji kahawat hai, “when a friend in need is a friend indeed”. Matlab sankat ke samay kam aane wala hi sachha dost hai.
Neeche dost kaise banaye iske bare mein kuch zaroori batein batayi gayi hai.
Logon ke sath Jyada samay vyatit karein
Jab tak log aapko janenge nahin tab tak aapke dost kaise banenge. Isliye longon ke sath ghulmilkar rahe khaastor pe unke sath jine aapko dost banana hai. Akela na raha kare.
Koi sanstha join kare
Agar aap vidyardhi hai to school mein, classes mein aapko aapki tarah ke bacche jinse aap dosti kar sako mil jayenge.
Agar aap aam aadmi (Mango Man) ho to aisi koi sanstha join kare jo aapki shauk(hobby) se sambandhit ho, jaise ki gana, nachna, vagairah.
Swyansewak bane
Anek samajik karyakramo me sahbhag le, Swayansevak bane. Isase sabhi umra ke logon ke sath uthna bethna badhega aur jinse vichar judenge ve sab aapke achche dost banenge.
Sahbhag badhaye
Aap kahin pe bhi ho, matlab kisi bhi kshetra mein ho agar aapka sahbhag nahi badha to aap na kuchh sikh payenge nahi dost bana payenge. Isliye apna sahbhag badhao.
Haskar baatein kare
Ankho mein ankhe dal kar baat karein aur jo mile use smit hasya dete rahe. Kai baar apna ek smithasya samne wale ko khush kar deta hai. Isise aap logon ke dil mein jagah bana sakte hai.
Isliye jitna ho sake utna logon se hanskar batein kare.
Sambhashan kare
agar kisi ke sath aap batein karte hai to samne wala bhi aapse bat zaroor karta hai. Isliye pehal kare aur jisase aapko dosti karni hai usase baten karna shuru kare. Batein jari rakhe dheere dheere batchit dosti mein avashya badlegi.
Sarva samanya pasandiyo ko atmasat kare. Udaharan dekha jaye to cricket. Aap ckricket ke baren mein jankari rakhiye. Jab cricket ka khel rahega tab bohot se log ikkatha hoke khel dekhte hain. Aise mein agar aap waha jatein ho aur acchi comments pass karte ho. To waha ke log aapse batein karna shuru kar denge.
Kisiko aap jabardasti ya dabav dalkar apna dost nahi bana sakte. Dosti to dilse hoti hai.
Apne doston ke sath pramanik rahe, sacche rahe.
Hamesha dusron ki madat karen. Madat ka swabav logon mein aapki nayi chap chodta hai. Aur aise mein har insan aapke jaisa dost banana chahta hai.
Dikhawa
Aap ka dikhawa bhi achha hona chahiye. Saf suthre rehna, saf suthre kapde pehanana. Achhi addatein rakhna longon ko akarshit karta hai.
Vachan ka palan karen
Agar aap kisi ko milne ka ya kahi jane ka samay diya he to samay par zaroor pohochna. Agar kisi ko vachan diya hai to use nibhana apna kartavya samjhe.
Vishvasniy bano
Agar koi aapko apne dukh ka karan bata raha hai to use dhyan se sune, aur kisi ek ki kahi hui batein kisi dusare se share mat karo. Vishasniy bano.
Bas yad rakhna dosto, dost banane ke liye aap man se sacche hona zaroori hai.
No comments:
Post a Comment